Tuesday, January 19, 2010

Aakhri Alfaaz

Ab mujhme na jeene ki aag hai na hai marne ki aah
na mujhme hai talaash un parchaiyaa, kushi ki raah
Ab mujhe na dikhe koi chirag na koi dil ki saaz
bas mujhe hai intezaar, sirf bachee gham ki raaz

Yuhni kabhi mandlaatha phir raha tha
Yuhni kahin muskuraatha dikhraha tha
Yuhni miti muskaan ki har woh lamha
Yuhni miti zindagi ki har tamanna

Kyu mein dekhoo har uns un faristo mein
Kyu mein khojoo har fikr in darindon mein
Kyu har tassavur bunde keharaha mein
Kyu har musafir pade tanhaayion mein

Ye kaisi hai raatein, chubee saare baatein
chupke dilnon mein hai mushkil badhaatein
Chala jaa raha hoon yeh sab ko sunaatey
chali zindagi sabko jeena sikhaatey
Daraatein, rulaatein hai khanjar dikhaatein
gire jaaraha hoon mein aansoo bahaatein

Na hai dil mein aise armaan koi
na hai intezaar na fariyaad koi
na hai iqtila hai na ruksaan koi
Nikal jaate kehta hai payambar sa koi
nikal jaayega thake haare duniyaase koi
nikal jaaonga maare saqt zindaa mein koi

Na sikke dilaaye na soharat badhaaye
na rokhe hawayein na kamsin bhulaye
Chala jaaon sab chodke har duwaye
yeh maangi hai duniya mujhe bas rulaye

Custom Search